Main Na Bolungi

By Geeta Dutt (1952)
On album Maa (1952)

Geeta Dutt
Main Na Bolungi, Ho Main Na Bolun Na Bolun Na Bolungi
Aaj Mere Chhote Se Dil Mein Chhupa Hai Kya Raaz
Main Na Kholungi Aaj, Main Na Bolungi Aaj...

(Bharat Bhushan: - Kya Raaz Hai Humein Toh Bataao)

Saawan Ke Ithlaate Baadal Se Poochh Lo, Ji Baadal Se Poochh Lo
Kajraare Nainon Ke Kaajal Se Poochh Lo, Ji Kaajal Se Poochh Lo
Bhole Balam Mohe Laage Sharm Haaye Laage Sharm
Yeh Bharm Apne Mann Ka Na Kholungi
Aaj Main Na Bolungi, Aaj Main Na Bolungi Aaj
Main Na Bolungi, Ho Main Na Bolun Na Bolun Na Bolungi
Aaj Mere Chhote Se Dil Mein Chhupa Hai Kya Raaz
Main Na Kholungi Aaj, Main Na Bolungi Aaj...

(Bharat Bhushan: - Achchha Hum Bhi Nahin Sun-na Chaahte)

Hooooooo
Suna Maine Jo Woh Kaise Sunaaun, Woh Baatein Tumhein Main Kaise Bataaun
Kaho Ji Kaise Bataaun, Kuchh Khud Samjho, Kuchh Khud Samjho
Kuchh Khud Samjho, Kuchh Meri Palkan Se Samjh Lo
Kuchh Dil Mein Chhupi Dil Ki Dhadkan Se Samjh Lo
Bhole Balam Mohe Laage Sharm Haaye Laage Sharm (2)
Yeh Bharm Apne Mann Ka Na Kholungi
Aaj Main Na Bolungi, Aaj Main Na Bolungi Aaj
Main Na Bolungi, Ho Main Na Bolun Na Bolun Na Bolungi
Aaj Mere Chhote Se Dil Mein Chhupa Hai Kya Raaz
Main Na Kholungi Aaj, Main Na Bolungi Aaj!

Go back to your search "Aaj shivrtri hai shiv ji se"

Go back to main blog post

Not the right song? Post your comment for help

Showing search results from SongSearch