Beete Nahin Raat Sanam

By Geeta Dutt (1961)
On album Hum Matwaale Naujawan (1961)

Go back to your search "Taqdeer"

Go back to main blog post

Not the right song? Post your comment for help

Geeta Dutt
Geeta Dutt: Beete Nahin Raat Sanam, Karo Koi Baat sanam
Duniya Soye, Humein Neend Lage Na
Beete Nahin Raat Sanam, Karo Koi Baat sanam
Duniya Soye, Humein Neend Lage Na
Mukesh: Mile Bhi Toh Door Se Hum, Koi Dekhe Yeh Sitam
Main Toh Jaagun Meri Taqdeer Jaage Na...

Mukesh: Maano Sanam Kategi Yeh Raat Nahin, Jo Humhin Saath Nahin (2)
Geeta Dutt: Kya Hua Jo Tera Mera Saath Nahin, Yeh Koi Baat Nahin
Mukesh: Na Bano Ji Diye Jaate Hain Gawaahi Tere Naina
Geeta Dutt: Beete Nahin Raat Sanam, Karo Koi Baat sanam
Duniya Soye, Humein Neend Lage Na...

Geeta Dutt: Khidki Khuli Chanda Nazar Aa Hi Gaya, Mujhe Tadpa Hi Gaya (2)
Mukesh: Naam Tera Zubaan Par Lehra Hi Gaya, Lab Tak Aa Hi Gaya
Geeta Dutt: Jo Labon Pe Hain Woh Keh De Jo Hai Dil Mein Woh Na Kehna
Mukesh: Mile Bhi Toh Door Se Hum, Koi Dekhe Yeh Sitam
Main Toh Jaagun Meri Taqdeer Jaage Na...

Mukesh: Raat Dhali Chandniya Zard Bhi Hai, Yeh Hawa Sard Bhi Hai (2)
Geeta Dutt: Haan Re Piya, Hawa Zara Sard Bhi Hai, Dil Mein Kuchh Dard Bhi Hai
Mukesh: Na Kaha Tha Meri Jaan, Humse Kabhi Door Na Rehna
Geeta Dutt: Beete Nahin Raat Sanam, Karo Koi Baat sanam
Duniya Soye, Humein Neend Lage Na
Mukesh: Mile Bhi Toh Door Se Hum, Koi Dekhe Yeh Sitam
Main Toh Jaagun Meri Taqdeer Jaage Na!

Go back to your search "Taqdeer"

Go back to main blog post

Not the right song? Post your comment for help

Showing search results from SongSearch